mujhe lagta hai taqat mar chuki hai
raqeebon se bagaavat mar chuki hai
khudi ko qatl kar deta kisi din
magar andar se himmat mar chuki hai
qadam uthte nahin ulfat mein yaaron
mere dil ki sharaarat mar chuki hai
kisi ke lab pe ab muskaan nain hai
yahan phoolon ki rangat mar chuki hai
hai zimmedaari mere sar pe daanish
jawaani mein hi ishrat mar chuki hai
मुझे लगता है ताक़त मर चुकी है
रक़ीबों से बग़ावत मर चुकी है
ख़ुदी को क़त्ल कर देता किसी दिन
मगर अंदर से हिम्मत मर चुकी है
क़दम उठते नहीं उल्फ़त में यारों
मेरे दिल की शरारत मर चुकी है
किसी के लब पे अब मुस्कान नइँ है
यहाँ फूलों की रंगत मर चुकी है
है ज़िम्मेदारी मेरे सर पे 'दानिश'
जवानी में ही इशरत मर चुकी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Phool Shayari Shayari