na sah paoge uski bewafaai to thehar jaana | न सह पाओगे उसकी बेवफ़ाई तो ठहर जाना

  - Shayar Danish

na sah paoge uski bewafaai to thehar jaana
na rah paoge gar uske bina phir tum hi mar jaana

nahin rukta hai raaste pe tumhaari cheekh se phir to
manaane ki use koshish mein tum bhi uske ghar jaana

karenge log ye badnaam tumko is muhabbat mein
guzarish karta hoon aashiq saleeqe se sudhar jaana

muhabbat mein agar tum is tarah se haar jaaoge
na rahna is zameen pe zindagi se tum guzar jaana

tumhein gar dekhna hai is muhabbat ka nateeja to
kabhi daanish zara har aashiqon ke qabr par jaana

न सह पाओगे उसकी बेवफ़ाई तो ठहर जाना
न रह पाओगे गर उसके बिना फिर तुम ही मर जाना

नहीं रुकता है रस्ते पे तुम्हारी चीख़ से फिर तो
मनाने की उसे कोशिश में तुम भी उसके घर जाना

करेंगे लोग ये बदनाम तुमको इस मुहब्बत में
गुज़ारिश करता हूँ आशिक़ सलीक़े से सुधर जाना

मुहब्बत में अगर तुम इस तरह से हार जाओगे
न रहना इस ज़मीं पे ज़िंदगी से तुम गुज़र जाना

तुम्हें गर देखना है इस मुहब्बत का नतीजा तो
कभी ''दानिश'' ज़रा हर आशिक़ों के क़ब्र पर जाना

  - Shayar Danish

Haar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Haar Shayari Shayari