apne lehje se yahan bhi kuchh inaayat kijie
nafratoin ki mehfilon mein ab muhabbat kijie
bebason ke saath hota hai musalsal ab galat
zulm karne waalon se khul kar bagaavat kijie
bhookh se kuchh mar rahe hain log apne mulk mein
ai siyaasi logon thodi si nadaamat kijie
kab talak khaamosh hi baithe rahenge aap log
apne rab se is hukoomat ki shikaayat kijie
aap bhi daanish zara haalaat dekhen mulk ke
inki khaatir aap bhi ghazalon mein zahmat kijie
अपने लहजे से यहाँ भी कुछ इनायत कीजिए
नफ़रतों की महफ़िलों में अब मुहब्बत कीजिए
बेबसों के साथ होता है मुसलसल अब ग़लत
ज़ुल्म करने वालों से खुल कर बग़ावत कीजिए
भूख से कुछ मर रहे हैं लोग अपने मुल्क में
ऐ सियासी लोगों थोड़ी सी नदामत कीजिए
कब तलक ख़ामोश ही बैठे रहेंगे आप लोग
अपने रब से इस हुकूमत की शिकायत कीजिए
आप भी 'दानिश' ज़रा हालात देखें मुल्क के
इनकी ख़ातिर आप भी ग़ज़लों में ज़हमत कीजिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Rahbar Shayari Shayari