pyaar jo ye iktarfaa isko kyun chhupaana hai
mujhko is zamaane ko be-dhadak dikhaana hai
karta hai zamaana bhi pyaar ki mazammat ye
pyaar ke charaagon ko ab mujhe jalana hai
laaya hoon main chilman bazaar se teri khaatir
tujhko ab yun chehre ko dhoop se bachaana hai
saath bhi na chhootega hai qasam tira mera
ai sanam raqeebon ko bhi bahut sataana hai
jo bhi karta hai nafrat aashiqon se ai daanish
nafratoin ke jhandon ko ab mujhe girana hai
प्यार जो ये इकतरफ़ा इसको क्यों छुपाना है
मुझको इस ज़माने को बे-धड़क दिखाना है
करता है ज़माना भी प्यार की मज़म्मत ये
प्यार के चराग़ों को अब मुझे जलाना है
लाया हूँ मैं चिलमन बाज़ार से तेरी ख़ातिर
तुझको अब यूँ चेहरे को धूप से बचाना है
साथ भी न छूटेगा है क़सम तिरा मेरा
ऐ सनम रक़ीबों को भी बहुत सताना है
जो भी करता है नफ़रत आशिक़ों से ऐ 'दानिश'
नफ़रतों के झंडों को अब मुझे गिराना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Dhoop Shayari Shayari