suno ghar pe akela main hoon tum ko aaj aana hai | सुनो घर पे अकेला मैं हूँ तुम को आज आना है

  - Shayar Danish

suno ghar pe akela main hoon tum ko aaj aana hai
mujhe baatein bhi kar ke waqt ye apna bitaana hai

tumhaare saath main bhi baith kar ai meri jaane man
faqat apni zabaan se pyaar ka qissa sunaana hain

dikha ke pyaar tumko paas dheere se bulaayenge
bahut shiddat se tumko yun gale jee bhar lagana hai

yahi vaada hai mera jo mukammal bhi karunga main
sahi mein tumko har pal ke liye dulhan banaana hai

iraada pyaar ka mera zara tum bhi suno daanish
khushi ke saath jeena hai ye qurbat ko nibhaana hai

सुनो घर पे अकेला मैं हूँ तुम को आज आना है
मुझे बातें भी कर के वक़्त ये अपना बिताना है

तुम्हारे साथ मैं भी बैठ कर ऐ मेरी जाने मन,
फ़क़त अपनी ज़बाँ से प्यार का क़िस्सा सुनाना हैं

दिखा के प्यार तुमको पास धीरे से बुलायेंगे,
बहुत शिद्दत से तुमको यूँ गले जी भर लगाना है

यही वादा है मेरा जो मुकम्मल भी करूँगा मैं,
सही में तुमको हर पल के लिए दुल्हन बनाना है

इरादा प्यार का मेरा ज़रा तुम भी सुनो ''दानिश''
ख़ुशी के साथ जीना है ये क़ुर्बत को निभाना है

  - Shayar Danish

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari