tujhko dekhta hoon to dil mera machalta hai
dekh kar zamaana ye yaar khoob jalta hai
muntazir bhi rahte hain dekhne ki khaatir log
khud ko vo saja kar ke ghar se jab nikalta hai
choomta hai honthon ko jab kabhi mera hamdam
ik raqeeb hai mera apni aankh malta hai
khoobsurati dekho dost uske lehje mein
karta hoon main taareefein tab ye jee bahalta hai
aasmaan ke jaanib tu dekhta hai kya daanish
dekh chaand tere ab baam par tahalta hai
तुझको देखता हूँ तो दिल मेरा मचलता है
देख कर ज़माना ये यार ख़ूब जलता है
मुंतज़िर भी रहते हैं देखने की ख़ातिर लोग
ख़ुद को वो सजा कर के घर से जब निकलता है
चूमता है होंठों को जब कभी मेरा हमदम
इक रक़ीब है मेरा अपनी आँख मलता है
ख़ूबसूरती देखो दोस्त उसके लहजे में
करता हूँ मैं तारीफ़ें तब ये जी बहलता है
आसमाँ के जानिब तू देखता है क्या 'दानिश'
देख चाँद तेरे अब बाम पर टहलता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Husn Shayari Shayari