ulfat mein har ghadi ki saza hamse jaaniye | उलफ़त में हर घड़ी की सज़ा हमसे जानिए

  - Shayar Danish

ulfat mein har ghadi ki saza hamse jaaniye
aur ismein bebaasi ki saza hamse jaaniye

aisi khushi mili ki dobaara na khush hue
qismat ki is khushi ki saza hamse jaaniye

apne hi dil ko ishq mein beemaar kar diya
chaahat mein dil-lagi ki saza hamse jaaniye

uske bina ye zindagi apni adhuri hai
maashooq ki kami ki saza hamse jaaniye

daanish ka pyaar muddaton tak chal nahin saka
thodi si aashiqi ki saza hamse jaaniye

उलफ़त में हर घड़ी की सज़ा हमसे जानिए
और इसमें बेबसी की सज़ा हमसे जानिए

ऐसी ख़ुशी मिली कि दुबारा न ख़ुश हुए
क़िस्मत की इस ख़ुशी की सज़ा हमसे जानिए

अपने ही दिल को इश्क़ में बीमार कर दिया
चाहत में दिल-लगी की सज़ा हमसे जानिए

उसके बिना ये ज़िंदगी अपनी अधूरी है
माशूक़ की कमी की सज़ा हमसे जानिए

'दानिश' का प्यार मुद्दतों तक चल नहीं सका
थोड़ी सी आशिक़ी की सज़ा हमसे जानिए

  - Shayar Danish

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari