use meri koii zaroorat nahin hai
mujhe jis se zarra bhi nafrat nahin hai
kisi be-wafa ne ye saabit kiya hai
muqaddar mein mere muhabbat nahin hai
usi kii wajah se mile hain mujhe zakhm
use sifr feesad nadaamat nahin hai
use jo chadha de yun sooli pe murshid
zamaane mein aisi adaalat nahin hai
wafaadar palte hain daanish ke dil mein
haqeeqat hai par ye haqeeqat nahin hai
उसे मेरी कोई ज़रूरत नहीं है
मुझे जिस से ज़र्रा भी नफ़रत नहीं है
किसी बे-वफ़ा ने ये साबित किया है
मुक़द्दर में मेरे मुहब्बत नहीं है
उसी की वजह से मिले हैं मुझे ज़ख्म
उसे सिफ़्र फ़ीसद नदामत नहीं है
उसे जो चढ़ा दे यूँ सूली पे मुर्शिद
ज़माने में ऐसी अदालत नहीं है
वफ़ादार पलते हैं 'दानिश' के दिल में
हक़ीक़त है पर ये हक़ीक़त नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Teacher Shayari Shayari