vo ham se door hote ja rahe hain
nashe mein choor hote ja rahe hain
muhabbat mein daga baazi vo karke
wahi be-noor hote ja rahe hain
unhin ki den hai ab zakham dil ke
sabhi naasoor hote ja rahe hain
hamaara haal-e-dil sun ke bhi dushman
sabhi masroor hote ja rahe hain
ghazal mein dard ga kar aap daanish
bahut mashhoor hote ja rahe hain
वो हम से दूर होते जा रहे हैं
नशे में चूर होते जा रहे हैं
मुहब्बत में दग़ा बाज़ी वो करके
वही बे-नूर होते जा रहे हैं
उन्हीं की देन है अब ज़ख़्म दिल के
सभी नासूर होते जा रहे हैं
हमारा हाल-ए-दिल सुन के भी दुश्मन
सभी मसरूर होते जा रहे हैं
ग़ज़ल में दर्द गा कर आप 'दानिश'
बहुत मशहूर होते जा रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Nafrat Shayari Shayari