vo kabhi dar-b-dar nahin aati
main jahaan hoon udhar nahin aati
koshishein laakh main bhi karta hoon
uske andar siyar nahin aati
dhoondhta hoon main bheed mein usko
uski soorat nazar nahin aati
har jagah vo bulaati hai mujhko
jaane kyun mere ghar nahin aati
yaad karti hai vo zara mujhko
aisi koi khabar nahin aati
dil mera tod ke vo hansati hai
sharm usko magar nahin aati
rehta hai khoob muntazir daanish
apne vo baam par nahin aati
वो कभी दर-ब-दर नहीं आती
मैं जहाँ हूँ उधर नहीं आती
कोशिशें लाख मैं भी करता हूँ
उसके अंदर सियर नहीं आती
ढूँढता हूँ मैं भीड़ में उसको
उसकी सूरत नज़र नहीं आती
हर जगह वो बुलाती है मुझको
जाने क्यों मेरे घर नहीं आती
याद करती है वो ज़रा मुझको
ऐसी कोई ख़बर नहीं आती
दिल मिरा तोड़ के वो हँसती है
शर्म उसको मगर नहीं आती
रहता है ख़ूब मुंतज़िर ''दानिश''
अपने वो बाम पर नहीं आती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Nazar Shayari Shayari