vo kal talak bhi kar raha tha jo himayat ishq ki
jaane vo phir kyun kar raha hai ab mazmmat ishq ki
uska bhi toda hai kisi ne dil bula kar ishq mein
sahab vo ladka sab samajhta hai siyaasat ishq ki
barbaad ho kar apne pehle ishq mein vo kehta hai
haan zindagi mein ab nahin sahni hai zahmat ishq ki
kuchh log yun hi ishq karne se manaa bhi karte hain
maaloom hai achhe se usko kya hai zillat ishq ki
bas rote hain chillate hain yun ishq mein mar jaate hain
daanish pata kar tu yahi hai ab haqeeqat ishq ki
वो कल तलक भी कर रहा था जो हिमायत इश्क़ की
जाने वो फिर क्यों कर रहा है अब मज़म्मत इश्क़ की
उसका भी तोड़ा है किसी ने दिल बुला कर इश्क़ में
साहब वो लड़का सब समझता है सियासत इश्क़ की
बर्बाद हो कर अपने पहले इश्क़ में वो कहता है
हाँ ज़िंदगी में अब नहीं सहनी है ज़हमत इश्क़ की
कुछ लोग यूँ ही इश्क़ करने से मना भी करते हैं
मालूम है अच्छे से उसको क्या है ज़िल्लत इश्क़ की
बस रोते हैं चिल्लाते हैं यूँ इश्क़ में मर जाते हैं
''दानिश'' पता कर तू यही है अब हक़ीक़त इश्क़ की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Sach Shayari Shayari