vo khud ko bhi muhazzab hi bataate hain
faqat jo paise naajaayaz kamaate hain
vo apna kar rahe hain aakhirat barbaad
tareeqa hamko jeene ka sikhaate hain
bade zalim yahan bhi log hai murshad
ghareebon ka vo ghar hardam jalate hain
khuda ka khauf bhi dil mein nahin unke
chala kar goliyaan laashein bichaate hain
sabhi mazloomon ka haq loot kar daanish
bahut hi fakhr se daulat dikhaate hain
वो ख़ुद को भी मुहज़्ज़ब ही बताते हैं
फ़क़त जो पैसे नाजायज़ कमाते हैं
वो अपना कर रहे हैं आख़िरत बर्बाद
तरीक़ा हमको जीने का सिखाते हैं
बड़े ज़ालिम यहाँ भी लोग है मुर्शद
ग़रीबों का वो घर हरदम जलाते हैं
ख़ुदा का ख़ौफ़ भी दिल में नहीं उनके
चला कर गोलियाँ लाशें बिछाते हैं
सभी मज़लूमों का हक़ लूट कर 'दानिश'
बहुत ही फ़ख़्र से दौलत दिखाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Rahbar Shayari Shayari