ye kisne kaha mujhse bezaar nahin karte
vo saamne aa kar bhi deedaar nahin karte
baatein vo bahut meethi karte hain sada hamse
vo pyaar ke qaabil hain par pyaar nahin karte
gesu mein bahut khushboo aankhen bhi nasheeli hain
qaateel si adaaon se beemaar nahin karte
bas vasl ki khaatir ab dil mera tarasta hai
milne ki vo koshish bhi ik baar nahin karte
vo door se karte hain daanish ko ishaara par
nazdeek kabhi aa kar izhaar nahin karte
ये किसने कहा मुझसे बेज़ार नहीं करते
वो सामने आ कर भी दीदार नहीं करते
बातें वो बहुत मीठी करते हैं सदा हमसे
वो प्यार के क़ाबिल हैं पर प्यार नहीं करते
गेसू में बहुत ख़ुश्बू आँखें भी नशीली हैं
क़ातिल सी अदाओं से बीमार नहीं करते
बस वस्ल की ख़ातिर अब दिल मेरा तरसता है
मिलने की वो कोशिश भी इक बार नहीं करते
वो दूर से करते हैं 'दानिश' को इशारा पर
नज़दीक कभी आ कर इज़हार नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Mehnat Shayari Shayari