mujhmein tera noor nahin aaya
achha hua ghuroor nahin aaya
tere resham se lab choomne ka
laanat jise shooor nahin aaya
apna peecha karte karte main
tere ghar se door nahin aaya
aankhen bikhri hain chaukhat par gar
yaani koii zaroor nahin aaya
jis din tohfe batne waale the
us din vo mazdoor nahin aaya
मुझमें तेरा नूर नहीं आया
अच्छा हुआ ग़ुरूर नहीं आया
तेरे रेशम से लब चूमने का
लानत जिसे शुऊर नहीं आया
अपना पीछा करते करते मैं
तेरे घर से दूर नहीं आया
आँखें बिखरी हैं चौखट पर गर
यानी कोई ज़रूर नहीं आया
जिस दिन तोहफ़े बटने वाले थे
उस दिन वो मज़दूर नहीं आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by komal selacoti
our suggestion based on komal selacoti
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari