tum hoti to kaisa hota | तुम होती तो कैसा होता? - Shivam anand

tum hoti to kaisa hota

kamre ki chaar deewaari aur main akshar ye baatein karte hain
tum hoti to kaisa hota
is kamre ki jebaish kya hoti
in deewaron ka rang kya hota
kya is khaali gulaani mein phool gulaabi hote
ya phir guldasta hi na hota
ye khidki jo band padi hai barson se
kya khole jaate
kamre mein kya suraj ki halki-halki kirnen padtii
ya phir tez hawa ka jhonka kamre mein khushbu bhar deta
khaamoshi mein kaid ye kamra aur deewarein jo berang padi hain
kya is par hansati si ek tasveer tumhaari hoti
kamre ki chaar deewaari aur main akshar ye baatein karte hain

तुम होती तो कैसा होता?

कमरे की चार दीवारी और मैं अक्सर ये बातें करते हैं,
तुम होती तो कैसा होता?
इस कमरे की जेबाईश क्या होती,
इन दीवारों का रंग क्या होता?
क्या इस खाली गुलदानी में फूल गुलाबी होते,
या फिर गुलदश्ता ही ना होता?
ये खिड़की जो बंद पड़ी है बरसों से,
क्या खोले जाते?
कमरे में क्या सूरज की हल्की-हल्की किरणें पड़ती,
या फिर तेज हवा का झोंका कमरे में खुशबु भर देता?
खामोशी में कैद ये कमरा और दीवारें जो बेरंग पड़ी हैं
क्या इस पर हँसती सी एक तस्वीर तुम्हारी होती?
कमरे की चार दीवारी और मैं अक्सर ये बातें करते हैं।

- Shivam anand
1 Like

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shivam anand

As you were reading Shayari by Shivam anand

Similar Writers

our suggestion based on Shivam anand

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari