dua karta hoon main is daur ka manzar badal jaaye
sitamgar khud hi apni aag mein chup chaap jal jaaye
main dushman ko bura kehne se pehle soch leta hoon
kahin aisa na ho phir dost se behtar nikal jaaye
saja le khud ko tu fauran haseen kii dhoop se varna
jawaani ka jo suraj hai achaanak ye na dhal jaaye
ghalat khabron ko sunta hoon chhalk jaate hain aansu khud
kahin aisa na ho phir mulk mein dahshat machal jaaye
mere nazdeek achhi maut hai us shakhs kii jiske
zabaan pe zikr rab jaari rahe aur jaan nikal jaaye
taqaza hosh-mandi ka na mar duniya kii daulat par
na daulat zar zameen jaaye faqat tera amal jaaye
ameeron tum na itraao kabhi bhi apni daulat par
ajal ik naag hai samjho na jaane kab nigal jaaye
दुआ करता हूँ मैं इस दौर का मंज़र बदल जाए
सितमगर ख़ुद ही अपनी आग में चुप चाप जल जाए
मैं दुश्मन को बुरा कहने से पहले सोच लेता हूँ
कहीं ऐसा न हो फिर दोस्त से बेहतर निकल जाए
सजा ले ख़ुद को तू फौरन हसीं की धूप से वरना
जवानी का जो सूरज है अचानक ये न ढल जाए
ग़लत ख़बरों को सुनता हूँ छलक जाते हैं आँसू ख़ुद
कहीं ऐसा न हो फिर मुल्क में दहशत मचल जाए
मेरे नज़दीक अच्छी मौत है उस शख़्स की जिसके
ज़बाँ पे ज़िक्र रब जारी रहे और जाँ निकल जाए
तक़ाज़ा होश-मंदी का न मर दुनिया की दौलत पर
न दौलत ज़र ज़मीं जाए फ़क़त तेरा अमल जाए
अमीरों तुम न इतराओ कभी भी अपनी दौलत पर
अजल इक नाग है समझो न जाने कब निगल जाए
As you were reading Shayari by Waseem Siddharthnagari
our suggestion based on Waseem Siddharthnagari
As you were reading undefined Shayari