mujhse poocho pyaar ka matlab
tum kya jaano haar ka matlab
vo harjaai vo kya jaane
ishq mohabbat pyaar ka matlab
jalte hain do choolhe ghar mein
samjhe tum deewaar ka matlab
ahl-e-qalam gar bik jaaye phir
be-matlab akhbaar ka matlab
shehar mein dar dar thokar khaaya
tab samjha ghar baar ka matlab
husn ko aage rakhne waale
samjhe nahin kirdaar ka matlab
lafzon se bas khushboo aaye
urdu hai guftaar ka matlab
मुझसे पूछो प्यार का मतलब
तुम क्या जानो हार का मतलब
वो हरजाई वो क्या जाने
इश्क़ मोहब्बत प्यार का मतलब
जलते हैं दो चूल्हे घर में
समझे तुम दीवार का मतलब
अहल-ए-क़लम गर बिक जाए फिर
बे-मतलब अख़बार का मतलब
शहर में दर दर ठोकर खाया
तब समझा घर बार का मतलब
हुस्न को आगे रखने वाले
समझे नहीं किरदार का मतलब
लफ़्ज़ों से बस ख़ुशबू आए
उर्दू है गुफ़्तार का मतलब
As you were reading Shayari by Waseem Siddharthnagari
our suggestion based on Waseem Siddharthnagari
As you were reading undefined Shayari