bazaar se khareed ke laati hain raakhiyaan | बाज़ार से ख़रीद के लाती हैं राखियाँ

  - YAWAR ALI

bazaar se khareed ke laati hain raakhiyaan
bahne kalaaiyon pe sajaati hain raakhiyaan

apne lahu pe pyaar lutaati nahin faqat
gairon ko bhi dilon mein basaati hain raakhiyaan

bandh kar kalaaiyon pe badi aan-baan se
maidan-e-jang saath mein jaati hain raakhiyaan

hota hai rashk aise nazaaron pe amn ko
jab dushmanon ko bhaai banaati hain raakhiyaan

mitte dilon ke bair hain raakhi ke parv par
shikwe gile dilon se bhulaati hain raakhiyaan

बाज़ार से ख़रीद के लाती हैं राखियाँ
बहने कलाइयों पे सजाती हैं राखियाँ

अपने लहू पे प्यार लुटाती नहीं फ़क़त
गैरों को भी दिलों में बसाती हैं राखियाँ

बँध कर कलाइयों पे बड़ी आन-बान से
मैदान-ए-जंग साथ में जाती हैं राखियाँ

होता है रश्क ऐसे नज़ारों पे अम्न को
जब दुश्मनों को भाई बनाती हैं राखियाँ

मिटते दिलों के बैर हैं राखी के पर्व पर
शिकवे गिले दिलों से भुलाती हैं राखियाँ

  - YAWAR ALI

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by YAWAR ALI

As you were reading Shayari by YAWAR ALI

Similar Writers

our suggestion based on YAWAR ALI

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari