naseehat ki kitaabon ke bina hain
hazaaron log apnon ke bina hain
tumhe afsos hai joote nahin hain
bahut se log pairo'n ke bina hain
sabhi ke ghar nahi raushan diyon se
bahut se log bacchon ke bina hain
yatiimon ke bujhe chehre to dekho
sitaare aasmaanon ke bina hain
ghareebi jinka suraj kha gai hai
vo bebas dil ujaalon ke bina hain
kafan ko odh kar sote hain be-ghar
kahaan footpath khatron ke bina hain
नसीहत की किताबों के बिना हैं
हज़ारों लोग अपनों के बिना हैं
तुम्हे अफ़सोस है जूते नहीं हैं
बहुत से लोग पैरों के बिना हैं
सभी के घर नही रौशन दियों से
बहुत से लोग बच्चों के बिना हैं
यतीमों के बुझे चेहरे तो देखो
सितारे आसमानों के बिना हैं
ग़रीबी जिनका सूरज खा गई है
वो बेबस दिल उजालों के बिना हैं
कफ़न को ओढ़ कर सोते हैं बे-घर
कहाँ फ़ुटपाथ ख़तरों के बिना हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by YAWAR ALI
our suggestion based on YAWAR ALI
As you were reading Sorry Shayari Shayari