juda hue to kisi dar ke ho gaye honge
vo ab paraaye muqaddar ke ho gaye honge
tumhein khabar hai jinhen alvida kaha tumne
tumhaare hijr mein patthar ke ho gaye honge
jinhen utaar diya sahilon pe kashti se
vo ab talak to samandar ke ho gaye honge
ham apni khaana-badoshi liye bhatkte hain
kirayedaar niji ghar ke ho gaye honge
kabhi umeed ke paudhon ko khun se seencha tha
vaqaar ab vo barabar ke ho gaye honge
जुदा हुए तो किसी दर के हो गए होंगे
वो अब पराए मुक़द्दर के हो गए होंगे
तुम्हें ख़बर है जिन्हें अलविदा कहा तुमने
तुम्हारे हिज्र में पत्थर के हो गए होंगे
जिन्हें उतार दिया साहिलाें पे कश्ती से
वो अब तलक तो समंदर के हो गए होंगे
हम अपनी ख़ाना-बदोशी लिए भटकते हैं
किराएदार निजी घर के हो गए होंगे
कभी उमीद के पौधों को ख़ूँ से सींचा था
वक़ार अब वो बराबर के हो गए होंगे
As you were reading Shayari by Zakir Waqar
our suggestion based on Zakir Waqar
As you were reading undefined Shayari