ehsaas akeleypan ka | "एहसास अकेलेपन का" - Mohammad Alijah Hasan

ehsaas akeleypan ka
aaj phir akela kahi soya tha main

tanhaai mein apni foot-foot kar roya tha main
bas chain mein neend aur neend mein chain na mila mujhe

is qadar us raat apne aap ko manana pada mujhe
teri yaadon ne phir se raat bhar jaga-ye rakha tha mujhe

yaad aaun agar main to is tarah bhool jaana mujhe
shaayad isee tarah se sukoon mil paayega mujhe

tu is tarah to mujhe mila tha nahin
ki dhoondh paau main tujhe har kahi

ho raha tha aaj vaadiyon se zikr tera bhi kahi
yaar khud tera akela baitha tha yahin

phool khile the phir se kahi baag mein
jal raha tha akela woh kahi hasraton ki aag mein

koi ummeed koi raah nazar nahin aayi
ai meri mohabbat tu aakhir saamne kyun nahin aayi

"एहसास अकेलेपन का"
आज फिर अकेले कहीं सोया था मैं

तनहाई में अपनी फूट-फूट कर रोया था मैं
बस चैन में नींद और नींद में चैन न मिला मुझे

इस क़दर उस रात अपने आप को मनाना पड़ा मुझे
तेरी यादों ने फिर से रात भर जगा-ये रखा था मुझे

याद आऊँ अगर मैं तो इस तरह भूल जाना मुझे
शायद इसी तरह से सुकून मिल पाएगा मुझे

तू इस तरह तो मुझे मिला था नहीं
की ढूँढ पाऊँ मैं तुझे हर कहीं

हो रहा था आज वादियों से ज़िक्र तेरा भी कहीं
यार ख़ुद तेरा अकेला बैठा था यहीं

फूल खिले थे फिर से कहीं बाग़ में
जल रहा था अकेला वह कहीं हसरतों की आग में

कोई उम्मीद कोई राह नज़र नहीं आयी
ऐ मेरी मोहब्बत तू आख़िर सामने क्यों नहीं आयी

- Mohammad Alijah Hasan
2 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mohammad Alijah Hasan

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari