tamaam nekiyaan dariya mein daalne ke liye | तमाम नेकियाँ दरिया में डालने के लिए - Aadarsh Dubey

tamaam nekiyaan dariya mein daalne ke liye
nikal pade hain samundar khangaalne ke liye

sitam to ye hai ke tesha nahin mila hum ko
pahaad kaat ke rasta nikaalne ke liye

na jaane kitnon ki qeemat giraayi jaati hai
ameere shehar ki qeemat uchaalne ke liye

hum aise logon ko laaya gaya hai duniya mein
kuein mein kood ke sikka nikaalne ke liye

kisi ke hijr ki hum aag peete rahte hain
sulagte lafzon ko ghazlon mein dhaalne ke liye

zara sambhaalna aa jaaye aadmi ko agar
to ek gham hi bahut hai sambhalne ke liye

तमाम नेकियाँ दरिया में डालने के लिए
निकल पड़े हैं समुन्दर खंगालने के लिए

सितम तो ये है के तेशा नहीं मिला हम को
पहाड़ काट के रस्ता निकालने के लिए

न जाने कितनों की क़ीमत गिरायी जाती है
अमीरे शहर की क़ीमत उछालने के लिए

हम ऐसे लोगों को लाया गया है दुनिया में
कुएं में कूद के सिक्का निकालने के लिए

किसी के हिज्र की हम आग पीते रहते हैं
सुलगते लफ़्ज़ों को ग़ज़लों में ढालने के लिए

ज़रा संभालना आ जाये आदमी को अगर
तो एक ग़म ही बहुत है संभालने के लिए

- Aadarsh Dubey
1 Like

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aadarsh Dubey

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari