purane boot hain tasmee khule hain | पुराने बूट हैं तस्मे खुले हैं - Aamir Suhail

purane boot hain tasmee khule hain
abhi mitti ke chehre an-dhule hain
sharaaben aur mashkiza sehar ka
abhi hai jism paakizaa gajr ka
sute chehre pe istehzaa ka mausam
lahu nabzon se khaali kar gaya hai
gale mein mulk ke taweez daalo
bidesi barchiyon se dar gaya hai
ghazal daalaan mein rakhi hai main ne
mahak hai sangtare ki qaash jaisi
ye kaisi may hai jo chakkhi hai main ne
mujhe ushshaq ye kahte hain aamir
bahut tanhaa siskate dehr mein ho
bade shaayar ho chhote shehar mein ho
fareb-e-asr se madhosh kamra
nigodi titliyon se bhar gaya hai
samundar pinduliyo tak aate aate
kisi patthar ki sil par mar gaya hai
saloni sardiyon se jhaankte hain
vo abroo kashtiyon ko haankte hain
sileti baadlon ka ye sahifa
meri mutthi mein padhta hai wazifa
main rota hoon to ro padte hain taair
mere hujre mein kam aate hain zaair
ye poren noor-baafi kar rahi hain
mohabbat ko gilaafi kar rahi hain
tafaakhur mein hai do honton ka kham bhi
abhi rakha nahin main ne qalam bhi

पुराने बूट हैं तस्मे खुले हैं
अभी मिट्टी के चेहरे अन-धुले हैं
शराबें और मश्कीज़ा सहर का
अभी है जिस्म पाकीज़ा गजर का
सुते चेहरे पे इस्तेहज़ा का मौसम
लहू नब्ज़ों से ख़ाली कर गया है
गले में मुल्क के तावीज़ डालो
बिदेसी बर्छियों से डर गया है
ग़ज़ल दालान में रक्खी है मैं ने
महक है संगतरे की क़ाश जैसी
ये कैसी मय है जो चक्खी है मैं ने
मुझे उश्शाक़ ये कहते हैं 'आमिर'
बहुत तन्हा सिसकते दहर में हो!
बड़े शाएर हो छोटे शहर में हो
फ़रेब-ए-अस्र से मदहोश कमरा
निगोड़ी तितलियों से भर गया है
समुंदर पिंडुलियों तक आते आते
किसी पत्थर की सिल पर मर गया है
सलोनी सर्दियों से झाँकते हैं
वो अबरू कश्तियों को हाँकते हैं
सिलेटी बादलों का ये सहीफ़ा
मिरी मुट्ठी में पढ़ता है वज़ीफ़ा
मैं रोता हूँ तो रो पड़ते हैं ताइर
मिरे हुजरे में कम आते हैं ज़ाएर
ये पोरें नूर-बाफ़ी कर रही हैं
मोहब्बत को ग़िलाफ़ी कर रही हैं
तफ़ाख़ुर में है दो होंटों का ख़म भी
अभी रक्खा नहीं मैं ने क़लम भी

- Aamir Suhail
2 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Aamir Suhail

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari