idhar kai dinon se | इधर कई दिनों से - Aashufta Changezi

idhar kai dinon se
door door tak bhi neend ka pata nahin
kaseele kadve zaa'iqe
tapak rahe hain aankh se
kai pahar guzar chuke
taveel kaali raat ke
main sun raha hoon der se
hazaaron baar ki suni-sunaai dastaken
kabhi shanaasa aahaten
kabhi nasheeli sarsaraahten

kiwaad khholte hi
dastaken
vo aahaten nasheeli sarsaraahten
khiraaj roothi neend ka liye hue chali gaeein

इधर कई दिनों से
दूर दूर तक भी नींद का पता नहीं
कसीले कड़वे ज़ाइक़े
टपक रहे हैं आँख से
कई पहर गुज़र चुके
तवील काली रात के
मैं सुन रहा हूँ देर से
हज़ारों बार की सुनी-सुनाई दस्तकें
कभी शनासा आहटें
कभी नशीली सरसराहटें

किवाड़ खोलते ही
दस्तकें!
वो आहटें नशीली सरसराहटें
ख़िराज रूठी नींद का लिए हुए चली गईं!

- Aashufta Changezi
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari