vo kaisi hai | वो कैसी है - Abbas Tabish

vo kaisi hai
use maine nahin dekha
suna hai vo zameen-zadi
dhaanak se apne khwaabon ke ufuq gul-rang rakhti hai
mere khushk se aage kisi manzar mein rahti hai
hawa ke ghar mein rahti hai
vo kis suraj ka hissa hai
vo kis tarah ki mitti hai
use maine nahin dekha
meri aankhon se le kar us ki aankhon tak kise maaloom hai
kitne sitaare hain
mujhe kya ilm vo kis rang ke kapde pehanti hai
vo khali bartanon mein apna din kaise bitaati hai
vo khushiyaan dhoondhti hai aur khud ko band almaari mein rakh kar
bahul jaati hai
vo ghar ke lawn mein baithi bahut kuch sochti hogi
ki mera rang kaisa hai
meri aankhon ke raushan kumkumon mein tab kitni hai
meri shiriyan mein sahme hue bacchon pe kya guzri
vo kis raaste pe chal nikle ki apne ghar nahin pahunche
vo aksar sochti hogi
mere kamre mein boodhi faahisha tanhaai ke hote
mere din kaise kate hain
meri be-khwaab raatein kin khyaalon mein guzrati hain
kahn ishq-i-gurezaan ki kahaani khatm hoti hai
vo ghar ke lawn mein baithi yahi kuch sochti hogi
ki mere naam ke peeche meri tasveer kaisi hai
mere khat bhi nahin us ke tasarruf mein
ki un ko khol kar mere badan ke raaz tak pahunche
mujhe us ne nahin
dekhna main ne us ko dekha hai
na us ne mujh ko dekha hai
magar apni mohabbat mein ajab husn-i-tawaazun hai
vo aksar sochti hogi
mein kitna apne daftar mein hoon kitna ghar ki khalvat mein
vo mujh ko mujh pe hi taqseem kar ke dekhti hogi
mujhe mehsoos hota hai
koi dil cheerati khushbu mujhe aawaaz deti hai
magar aawaaz ke peeche koi chehra nahin hota
vo mujh ko dekh leti hai
magar meri basarat mein mahak chehra nahin paati
ki khushbu kis ne dekhi hai
sada ko kis ne pakda hain
makani dooriyaan kaisi zamaani qurbaaten kaisi
vo mera jism hai lekin use maine nahin dekha

वो कैसी है
उसे मैंने नहीं देखा
सुना है वो ज़मीं-ज़दी
धानक से अपने ख्वाबों के उफ़ुक़ गुल-रंग रखती है
मेरे ख़शक से आगे किसी मंज़र में रहती है
हवा के घर में रहती है
वो किस सूरज का हिस्सा है
वो किस तरह की मिटटी है
उसे मैंने नहीं देखा
मेरी आँखों से ले कर उस की आँखों तक किसे मालूम है
किटने सितारे हैं
मुझे क्या इल्म वो किस रंग के कपडे पहनती है
वो खली बर्तनों में अपना दिन कैसे बिताती है
वो खुशियां ढूंढ़ती है और खुद को बंद अलमारी में रख कर
बहुल जाती है
वो घर के लॉन में बैठी बहुत कुछ सोचती होगी
की मेरा रंग कैसा है
मेरी आँखों के रौशन कुमकुमों में तब कितनी है
मेरी शिरयण में सहमे हुए बच्चों पे क्या गुज़री
वो किस रस्ते पे चल निकले की अपने घर नहीं पहुंचे
वो अकसर सोचती होगी
मेरे कमरे में बूढी फाहिशा तन्हाई के होते
मेरे दिन कैसे कटते हैं
मेरी बे-ख्वाब रातें किन ख्यालों में गुज़रती हैं
कहन इश्क़-इ-गुरेज़ाँ की कहानी ख़त्म होती है
वो घर के लॉन में बैठी यही कुछ सोचती होगी
की मेरे नाम के पीछे मेरी तस्वीर कैसी है
मेरे खत भी नहीं उस के तसर्रुफ़ में
कि उन को खोल कर मेरे बदन के राज़ तक पहुंचे
मुझे उस ने नहीं
देखना मैं ने उस को देखा है
ना उस ने मुझ को देखा है
मगर अपनी मोहब्बत में अजब हुस्न-इ-तवाज़ुन है
वो अकसर सोचती होगी
में कितना अपने दफ्तर में हूँ कितना घर की खल्वट में
वो मुझ को मुझ पे ही तक़सीम कर के देखती होगी
मुझे महसूस होता है
कोई दिल चीरती खुशबु मुझे आवाज़ देती है
मगर आवाज़ के पीछे कोई चेहरा नहीं होता
वो मुझ को देख लेती है
मगर मेरी बसरत में महक चेहरा नहीं पाती
की खुशबु किस ने देखि है
सदा को किस ने पकड़ा हैं
मकणी दूरियां कैसी? ज़मानी क़ुरबाटें कैसी?
वो मेरा जिस्म है लेकिन उसे मैंने नहीं देखा

- Abbas Tabish
1 Like

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abbas Tabish

As you were reading Shayari by Abbas Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Abbas Tabish

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari