jalse udaas hain sabhi maatam udaas hai | जलसे उदास हैं सभी, मातम उदास है - Aditya Narayan Shukla "Rang"

jalse udaas hain sabhi maatam udaas hai
mujh mein hai ek shakhs jo paiham udaas hai

tum mein yun dhal gaya hoon ke ab main nahin raha
kapde mein bun gaya hai to resham udaas hai

phoolon se gir ke khudkushi karti hai boond bhi
tum ne nahin chhua hai to shabnam udaas hai

taaron se lad raha hai ye patthar naseeb par
mere liye bana hai to neelam udaas hai

kal se kisi bhi kaam mein dil hi nahin laga
kal se ye lag raha hai ke jaanam udaas hai

जलसे उदास हैं सभी, मातम उदास है
मुझ में है एक शख़्स जो पैहम उदास है

तुम में यूँ ढ़ल गया हूँ के अब मैं नहीं रहा
कपड़े में बुन गया है तो रेशम उदास है

फूलों से गिर के ख़ुदकुशी करती है बूँद भी
तुम ने नहीं छुआ है तो शबनम उदास है

तारों से लड़ रहा है ये पत्थर नसीब पर
मेरे लिए बना है तो नीलम उदास है

कल से किसी भी काम में दिल ही नहीं लगा
कल से ये लग रहा है के जानम उदास है

- Aditya Narayan Shukla "Rang"
1 Like

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya Narayan Shukla "Rang"

As you were reading Shayari by Aditya Narayan Shukla "Rang"

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Narayan Shukla "Rang"

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari