jo zindagi guzaarne ka falsafa laga | जो ज़िंदगी गुज़ारने का फ़लसफ़ा लगा - Aditya Narayan Shukla "Rang"

jo zindagi guzaarne ka falsafa laga
main us ko waqt kaatne ka raasta laga

tu uth ke ja raha tha kisi kaam ke liye
mere ajeeb dil ko ye ik haadsa laga

jo gair ke liye tha bichhad kar gaya use
mera kisi ko chaahna kitna bura laga

aasaaniyon se tu ne mujhe alvida kaha
yaani tujhe ye shauq kai martaba laga

tha saath kaun kab ki faqat raasta tha main
main jis ke bhi qareeb tha jaata hua laga

जो ज़िंदगी गुज़ारने का फ़लसफ़ा लगा
मैं उस को वक्त काटने का रास्ता लगा

तू उठ के जा रहा था किसी काम के लिए
मेरे अजीब दिल को ये इक हादसा लगा

जो गैर के लिए था बिछड़ कर गया उसे
मेरा किसी को चाहना कितना बुरा लगा

आसानियों से तू ने मुझे अलविदा कहा
यानी तुझे ये शौक़ कई मर्तबा लगा

था साथ कौन कब कि फ़क़त रास्ता था मैं
मैं जिस के भी क़रीब था जाता हुआ लगा

- Aditya Narayan Shukla "Rang"
1 Like

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya Narayan Shukla "Rang"

As you were reading Shayari by Aditya Narayan Shukla "Rang"

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Narayan Shukla "Rang"

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari