main dava poochhte firta tha zamaane bhar se
bhar gaye zakhm tere haath lagaane bhar se
baad muddat ke bade chain se soya tha main
ud gai neend tere khwaab mein aane bhar se
isliye bhi nahin rakhta hoon kisi se parda
khul bhi jaate hain kai raaz chhupaane bhar se
ab to lagta hai ki mastak hi chadhaana hoga
kaun sunta hai yahan doodh chadhaane bhar se
jaane kitne hi andheron mein ujaala hoga
uske chehre pe padi zulf hataane bhar se
main is ummeed mein deta hoon sadaayen usko
laut aayega vo awaaz lagaane bhar se
bah rahe the jo ragon mein to lahu the ham bhi
ho gaye ashk faqat aankh mein aane bhar se
मैं दवा पूछते फिरता था ज़माने भर से
भर गए ज़ख़्म तेरे हाथ लगाने भर से
बाद मुद्दत के बड़े चैन से सोया था मैं
उड़ गई नींद तेरे ख़्वाब में आने भर से
इसलिए भी नहीं रखता हूँ किसी से पर्दा
खुल भी जाते हैं कई राज़ छुपाने भर से
अब तो लगता है कि मस्तक ही चढ़ाना होगा
कौन सुनता है यहाँ दूध चढ़ाने भर से
जाने कितने ही अँधेरों में उजाला होगा
उसके चेहरे पे पड़ी ज़ुल्फ़ हटाने भर से
मैं इस उम्मीद में देता हूँ सदाऍं उसको
लौट आएगा वो आवाज़ लगाने भर से
बह रहे थे जो रगों में तो लहू थे हम भी
हो गए अश्क फ़क़त आँख में आने भर से
As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi
our suggestion based on Aditya Singh aadi
As you were reading undefined Shayari