tu chaand hai to chaand ke dhabbon kii tarah main | तू चांँद है तो चांँद के धब्बों की तरह मैं

  - Aditya Singh aadi

tu chaand hai to chaand ke dhabbon kii tarah main
par chahta hoon tujhko chakoron kii tarah main

khilti hai kisi shaakh pe phoolon kii tarah tu
ugta hoon kisi jhaad mein kaantto kii tarah main

dil bharte hi ghar ke kisi kone mein miloonga
bachchon ke pasandeeda khilauno kii tarah main

lootaa bhi gaya hoon kabhi chheena bhi gaya hoon
khairaat mein bantte hue sikko kii tarah main

chupchaap khada dekhta rehta hai mujhe tu
jhadta hoon teri shaakh se patton kii tarah main

तू चांँद है तो चांँद के धब्बों की तरह मैं
पर चाहता हूंँ तुझको चकोरों की तरह मैं

खिलती है किसी शाख़ पे फूलों की तरह तू
उगता हूँ किसी झाड़ में कांँटो की तरह मैं

दिल भरते ही घर के किसी कोने में मिलूंँगा
बच्चों के पसंदीदा खिलौनों की तरह मैं

लूटा भी गया हूँ कभी छीना भी गया हूँ
ख़ैरात में बँटते हुए सिक्कों की तरह मैं

चुपचाप खड़ा देखता रहता है मुझे तू
झड़ता हूँ तेरी शाख़ से पत्तों की तरह मैं

  - Aditya Singh aadi

More by Aditya Singh aadi

As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Singh aadi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari