ye mulaqaat aakhiri kyun ho | ये मुलाक़ात आख़िरी क्यूँ हो

  - Aditya Singh aadi

ye mulaqaat aakhiri kyun ho
shahr-e-jaanaan se waapsi kyun ho

ek aurat ko dekhne ke liye
itna bechain aadmi kyun ho

jisse khatra nahin muhabbat ka
aisi ladki se dosti kyun ho

main jo tokoon to tookti hi nahin
main na tokoon to tookti kyun ho

khoob nocha hai zindagi ne mujhe
itni aasaan khudkushi kyun ho

ham hain maalik udaas chehron ke
aaina dekhkar khushi kyun ho

teri chaukhat pe jab andhera hai
mere kamre mein raushni kyun ho

kar diye dafn pairhan uske
jo nahin saanp kenchuli kyun ho

jab saleeqa na ho bajaane ka
haath mohan ke baansuri kyun ho

jab koii kaam hi nahin mujhse
mere baare mein sochti kyun ho

aa gaye paas jab samandar ke
phir kinaare se waapsi kyun ho

ये मुलाक़ात आख़िरी क्यूँ हो
शहर-ए-जानाँ से वापसी क्यूँ हो

एक औरत को देखने के लिए
इतना बैचैन आदमी क्यूँ हो

जिससे ख़तरा नहीं मुहब्बत का
ऐसी लड़की से दोस्ती क्यूँ हो

मैं जो टोकूँ तो टोकती ही नहीं
मैं न टोकूँ तो टोकती क्यूँ हो

ख़ूब नोचा है ज़िंदगी ने मुझे
इतनी आसान ख़ुदकुशी क्यूँ हो

हम हैं मालिक उदास चेहरों के
आइना देखकर ख़ुशी क्यूँ हो

तेरी चौखट पे जब अँधेरा है
मेरे कमरे में रौशनी क्यूँ हो

कर दिए दफ़्न पैरहन उसके
जो नहीं साँप केंचुली क्यूँ हो

जब सलीक़ा न हो बजाने का
हाथ मोहन के बाँसुरी क्यूँ हो

जब कोई काम ही नहीं मुझसे
मेरे बारे में सोचती क्यूँ हो

आ गए पास जब समंदर के
फिर किनारे से वापसी क्यूँ हो

  - Aditya Singh aadi

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aditya Singh aadi

As you were reading Shayari by Aditya Singh aadi

Similar Writers

our suggestion based on Aditya Singh aadi

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari