tadap raha tha main jis dard-e-la-dawa ke liye
vo mil gaya hai magar cheen le khuda ke liye
main boond boond tapkata hoon apne honton par
chala tha le ke ye sarmaaya karbala ke liye
fishaar-e-gham ne mujhe choor choor kar daala
kiwaad khol de saare zara hawa ke liye
kati hui hai mere taaza mausamon ki zabaan
kahaan se laaunga alfaaz ab dua ke liye
meri talab ne mere haath tod dale hain
bahut kada hai ye lamha meri ana ke liye
kabhi dariche samundar ki samt khulte the
taras gaya hoon magar ab khuli fazaa ke liye
mujhe khabar hai jhukegi tiri nazar na kabhi
bani hai ye to sifat chashm-e-ba-haya ke liye
har ek cheez yahan kaaghazi libaas mein hai
koi jagah nahin milti gul-e-wafa ke liye
khayal mein kai kaante utar gaye afzal
saza mili hai ye ik harf-e-na-rasa ke liye
तड़प रहा था मैं जिस दर्द-ए-ला-दवा के लिए
वो मिल गया है मगर छीन ले ख़ुदा के लिए
मैं बूँद बूँद टपकता हूँ अपने होंटों पर
चला था ले के ये सरमाया कर्बला के लिए
फ़िशार-ए-ग़म ने मुझे चूर चूर कर डाला
किवाड़ खोल दे सारे ज़रा हवा के लिए
कटी हुई है मिरे ताज़ा मौसमों की ज़बाँ
कहाँ से लाऊँगा अल्फ़ाज़ अब दुआ के लिए
मिरी तलब ने मिरे हाथ तोड़ डाले हैं
बहुत कड़ा है ये लम्हा मिरी अना के लिए
कभी दरीचे समुंदर की सम्त खुलते थे
तरस गया हूँ मगर अब खुली फ़ज़ा के लिए
मुझे ख़बर है झुकेगी तिरी नज़र न कभी
बनी है ये तो सिफ़त चश्म-ए-बा-हया के लिए
हर एक चीज़ यहाँ काग़ज़ी लिबास में है
कोई जगह नहीं मिलती गुल-ए-वफ़ा के लिए
ख़याल में कई काँटे उतर गए 'अफ़ज़ल'
सज़ा मिली है ये इक हर्फ़-ए-ना-रसा के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Afzal Minhas
our suggestion based on Afzal Minhas
As you were reading Khuddari Shayari Shayari