gham aisa chahiye ki musalsal lage mujhe | ग़म ऐसा चाहिए कि मुसलसल लगे मुझे

  - Afzal Sultanpuri

gham aisa chahiye ki musalsal lage mujhe
rakhoon jahaan bhi pair main daldal lage mujhe

tu ishq karke yaar mera hosh to uda
aisa udhaana yaar ki awwal lage mujhe

kuchh ped aur chaar parinde khareed loon
phir yun karoon shumaar ki jungle lage mujhe

kal shaam jiski yaad mein behosh ho gaya
bharti kiya gaya mujhe bottle lage mujhe

kamre kii farsh aur bahaaya gaya lahu
jab bhi nazar pade meri maqtal lage mujhe

kis peer kii nazar ka karam ho gaya bata
jo ishq mein pade the vo paagal lage mujhe

chal is tarah se bol lage baat sab sahi
tu jhooth aisa bol ki afzal lage mujhe

ग़म ऐसा चाहिए कि मुसलसल लगे मुझे
रक्खूँ जहाँ भी पैर मैं दलदल लगे मुझे

तू इश्क़ करके यार मिरा होश तो उड़ा
ऐसा उड़ाना यार कि अव्वल लगे मुझे

कुछ पेड़ और चार परिंदे ख़रीद लूँ
फिर यूँ करूँ शुमार कि जंगल लगे मुझे

कल शाम जिसकी याद में बेहोश हो गया
भर्ती किया गया मुझे बोतल लगे मुझे

कमरे की फ़र्श और बहाया गया लहू
जब भी नज़र पड़े मिरी मक़्तल लगे मुझे

किस पीर की नज़र का करम हो गया बता
जो इश्क़ में पड़े थे वो पागल लगे मुझे

चल इस तरह से बोल लगे बात सब सही
तू झूठ ऐसा बोल कि अफ़ज़ल लगे मुझे

  - Afzal Sultanpuri

More by Afzal Sultanpuri

As you were reading Shayari by Afzal Sultanpuri

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Sultanpuri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari