bayaan ho kis tarah soz-o-alam ki dastaan meri | बयाँ हो किस तरह सोज़-ओ-अलम की दास्ताँ मेरी

  - Agha Saeed

bayaan ho kis tarah soz-o-alam ki dastaan meri
na saathi koi sunta hai na meer-e-kaarwaan meri

mera shauq-e-takallum mujh ko kis mehfil mein le aaya
yahan to baat karne ko tarasti hai zabaan meri

zabaan par sabt gar mohr-e-sitmgar hai to kya gham hai
ki meri khaamoshi hi ban rahi hai ab zabaan meri

mujhe ai baagbaan shikwa ho kyun qaid-o-salaasil ka
ki ab saare chaman ki dastaan hai dastaan meri

nishaan to mit gaya sayyaad mere aashiyaane ka
chaman mein har taraf bikhri hai khaak-e-aashiyaan meri

kuchh aisa soz pinhaan tha mere andaaz-e-giryaa mein
chaman waalon ne mil kar loot li tarz-e-fughaan meri

jahaan mein kis tarah mujh ko sukoon-e-qalb haasil ho
bani hai zindagi hi jab saraapa imtihaan meri

meri sehra-navardi par na ho hairaan ai hamdam
abhi hai aarzoo-e-aablaa-paai jawaan meri

ye dil hai ya ki hai naakaam ummeedon ka gahvaara
ki har khwaahish hai hasrat-khez har hasrat jawaan meri

saeed apna watan har aan hi aankhon mein rehta hai
usi ki yaad goya ban gai hai jaan-e-jaan meri

बयाँ हो किस तरह सोज़-ओ-अलम की दास्ताँ मेरी
न साथी कोई सुनता है न मीर-ए-कारवाँ मेरी

मिरा शौक़-ए-तकल्लुम मुझ को किस महफ़िल में ले आया
यहाँ तो बात करने को तरसती है ज़बाँ मेरी

ज़बाँ पर सब्त गर मोहर-ए-सितमगर है तो क्या ग़म है
कि मेरी ख़ामुशी ही बन रही है अब ज़बाँ मेरी

मुझे ऐ बाग़बाँ शिकवा हो क्यों क़ैद-ओ-सलासिल का
कि अब सारे चमन की दास्ताँ है दास्ताँ मेरी

निशाँ तो मिट गया सय्याद मेरे आशियाने का
चमन में हर तरफ़ बिखरी है ख़ाक-ए-आशियाँ मेरी

कुछ ऐसा सोज़ पिन्हाँ था मिरे अंदाज़-ए-गिर्या में
चमन वालों ने मिल कर लूट ली तर्ज़-ए-फ़ुग़ाँ मेरी

जहाँ में किस तरह मुझ को सुकून-ए-क़ल्ब हासिल हो
बनी है ज़िंदगी ही जब सरापा इम्तिहाँ मेरी

मेरी सहरा-नवर्दी पर न हो हैरान ऐ हमदम
अभी है आरज़ू-ए-आबला-पाई जवाँ मेरी

ये दिल है या कि है नाकाम उम्मीदों का गहवारा
कि हर ख़्वाहिश है हसरत-ख़ेज़ हर हसरत जवाँ मेरी

'सईद' अपना वतन हर आन ही आँखों में रहता है
उसी की याद गोया बन गई है जान-ए-जाँ मेरी

  - Agha Saeed

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Agha Saeed

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari