zarra bhi agar rang-e-khudaai nahin deta | ज़र्रा भी अगर रंग-ए-ख़ुदाई नहीं देता - Agha Shayar Qazalbash

zarra bhi agar rang-e-khudaai nahin deta
andha hai tujhe kuch bhi dikhaai nahin deta

dil ki buri aadat hai jo mitaa hai buton par
wallaah main un ko to buraai nahin deta

kis tarah jawaani mein chaloon raah pe naaseh
ye umr hi aisi hai sujhaai nahin deta

girta hai usi waqt bashar munh ke bal aa kar
jab tere siva koi dikhaai nahin deta

sun kar meri fariyaad vo ye kahte hain shaair
is tarah to koi bhi duhaai nahin deta

ज़र्रा भी अगर रंग-ए-ख़ुदाई नहीं देता
अंधा है तुझे कुछ भी दिखाई नहीं देता

दिल की बुरी आदत है जो मिटता है बुतों पर
वल्लाह मैं उन को तो बुराई नहीं देता

किस तरह जवानी में चलूँ राह पे नासेह
ये उम्र ही ऐसी है सुझाई नहीं देता

गिरता है उसी वक़्त बशर मुँह के बल आ कर
जब तेरे सिवा कोई दिखाई नहीं देता

सुन कर मिरी फ़रियाद वो ये कहते हैं 'शाइर'
इस तरह तो कोई भी दुहाई नहीं देता

- Agha Shayar Qazalbash
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Agha Shayar Qazalbash

As you were reading Shayari by Agha Shayar Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Agha Shayar Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari