chaahaton ka meri asar bhi ho | चाहतों का मिरी असर भी हो - Aghaz Buldanvi

chaahaton ka meri asar bhi ho
aag jo hai idhar udhar bhi ho

raushni ka pata karo yaaro
raat hai to kahi sehar bhi ho

ye nazaare jo dekhe-bhaale hain
kuch hamaari nayi nazar bhi ho

qaid hai jo kahi deewaron mein
us khushi ki humein khabar bhi ho

jashn hai jo udhar bahaaron ka
vo khushi ka samaan idhar bhi ho

zindagi ke safar mein ai aaghaaz
hum-safar koi mo'tabar bhi ho

चाहतों का मिरी असर भी हो
आग जो है इधर उधर भी हो

रौशनी का पता करो यारो
रात है तो कहीं सहर भी हो

ये नज़ारे जो देखे-भाले हैं
कुछ हमारी नई नज़र भी हो

क़ैद है जो कहीं दीवारों में
उस ख़ुशी की हमें ख़बर भी हो

जश्न है जो उधर बहारों का
वो ख़ुशी का समाँ इधर भी हो

ज़िंदगी के सफ़र में ऐ आग़ाज़
हम-सफ़र कोई मो'तबर भी हो

- Aghaz Buldanvi
0 Likes

Sazaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aghaz Buldanvi

As you were reading Shayari by Aghaz Buldanvi

Similar Writers

our suggestion based on Aghaz Buldanvi

Similar Moods

As you were reading Sazaa Shayari Shayari