log milte bichhadte rahte hain | लोग मिलते बिछड़ते रहते हैं - Aghaz Buldanvi

log milte bichhadte rahte hain
rishte bante bigadte rahte hain

ye naye raaste hain chaahat ke
aaye din jo ukhadte rahte hain

gham na kar dil ke toot jaane ka
ye chaman to ujdate rahte hain

hai zamaana nayi rivaayat ka
log baaham jhagdate rahte hain

dil rafu kab talak karoge tum
kacche dhaage udhadte rahte hain

bahte rahte hain ashk aankhon se
aur gunah mere jhadte rahte hain

pyaar jab bhi jataana hota hai
mujh se aaghaaz ladte rahte hain

लोग मिलते बिछड़ते रहते हैं
रिश्ते बनते बिगड़ते रहते हैं

ये नए रास्ते हैं चाहत के
आए दिन जो उखड़ते रहते हैं

ग़म न कर दिल के टूट जाने का
ये चमन तो उजड़ते रहते हैं

है ज़माना नई रिवायत का
लोग बाहम झगड़ते रहते हैं

दिल रफ़ू कब तलक करोगे तुम
कच्चे धागे उधड़ते रहते हैं

बहते रहते हैं अश्क आँखों से
और गुनह मेरे झड़ते रहते हैं

प्यार जब भी जताना होता है
मुझ से 'आग़ाज़' लड़ते रहते हैं

- Aghaz Buldanvi
0 Likes

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aghaz Buldanvi

As you were reading Shayari by Aghaz Buldanvi

Similar Writers

our suggestion based on Aghaz Buldanvi

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari