narm resham si mulaayem kisi makhmal ki tarah | नर्म रेशम सी मुलाएम किसी मख़मल की तरह - Aghaz Buldanvi

narm resham si mulaayem kisi makhmal ki tarah
sard raaton mein tiri yaad hai kambal ki tarah

main zamaane se uljh saka hoon us ki khaatir
jo sajaata hai mujhe aankh mein kaajal ki tarah

koi saagar kahi pyaasa jo nazar aaye to
hum barsate hain wahin toot ke baadal ki tarah

khoobsurat thi ye kashmir ki waadi jaisi
zindagi tere bina lagti hai chambal ki tarah

shehar ki aab-o-hawa ne mere bacche cheene
main akela hi raha gaav ke peepal ki tarah

नर्म रेशम सी मुलाएम किसी मख़मल की तरह
सर्द रातों में तिरी याद है कम्बल की तरह

मैं ज़माने से उलझ सकता हूँ उस की ख़ातिर
जो सजाता है मुझे आँख में काजल की तरह

कोई सागर कहीं प्यासा जो नज़र आए तो
हम बरसते हैं वहीं टूट के बादल की तरह

ख़ूबसूरत थी ये कश्मीर की वादी जैसी
ज़िंदगी तेरे बिना लगती है चंबल की तरह

शहर की आब-ओ-हवा ने मिरे बच्चे छीने
मैं अकेला ही रहा गाँव के पीपल की तरह

- Aghaz Buldanvi
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aghaz Buldanvi

As you were reading Shayari by Aghaz Buldanvi

Similar Writers

our suggestion based on Aghaz Buldanvi

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari