raat ke baad sehar dekhenge | रात के बाद सहर देखेंगे - Aghaz Buldanvi

raat ke baad sehar dekhenge
hum duaon ka asar dekhenge

kaise har haal mein khush rehta hai
hum bhi us ka ye hunar dekhenge

chaanv deta hai sabhi ko ab tak
aao vo boodha shajar dekhenge

haal par sab ne jo chhodaa hai mujhe
kaise hoti hai guzar dekhenge

karke aaghaaz safar ka tanhaa
kaise katata hai safar dekhenge

रात के बाद सहर देखेंगे
हम दुआओं का असर देखेंगे

कैसे हर हाल में ख़ुश रहता है
हम भी उस का ये हुनर देखेंगे

छाँव देता है सभी को अब तक
आओ वो बूढ़ा शजर देखेंगे

हाल पर सब ने जो छोड़ा है मुझे
कैसे होती है गुज़र देखेंगे

करके 'आग़ाज़' सफ़र का तन्हा
कैसे कटता है सफ़र देखेंगे

- Aghaz Buldanvi
0 Likes

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aghaz Buldanvi

As you were reading Shayari by Aghaz Buldanvi

Similar Writers

our suggestion based on Aghaz Buldanvi

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari