taazaa-b-taazaa subh ke akhbaar ki tarah | ताज़ा-ब-ताज़ा सुब्ह के अख़बार की तरह - Aghaz Buldanvi

taazaa-b-taazaa subh ke akhbaar ki tarah
becha gaya aaj bhi har baar ki tarah

qaateel hain meri jaan ka dushman hai vo magar
milta hai mujh se jo kisi gham-khwaar ki tarah

ek shay ki jis ka naam hai ehsaas zehan mein
paiham khatkata rehta hai ik khaar ki tarah

main apni be-gunaahi pe khud apne aap mein
rehta hoon sharm-saar gunahgaar ki tarah

karte hain baat baat mein jazbon ka mol-tol
karte hain log pyaar bhi bewpaar ki tarah

chaahat bhi un ki hoti hai nafrat liye hue
iqaar bhi vo karte hain inkaar ki tarah

aaghaaz har ek bazm mein har ik zabaan par
hai us ka tazkira mere ashaar ki tarah

ताज़ा-ब-ताज़ा सुब्ह के अख़बार की तरह
बेचा गया आज भी हर बार की तरह

क़ातिल हैं मेरी जान का दुश्मन है वो मगर
मिलता है मुझ से जो किसी ग़म-ख़्वार की तरह

एक शय कि जिस का नाम है एहसास ज़ेहन में
पैहम खटकता रहता है इक ख़ार की तरह

मैं अपनी बे-गुनाही पे ख़ुद अपने आप में
रहता हूँ शर्म-सार गुनहगार की तरह

करते हैं बात बात में जज़्बों का मोल-तोल
करते हैं लोग प्यार भी बेव्पार की तरह

चाहत भी उन की होती है नफ़रत लिए हुए
इक़रार भी वो करते हैं इंकार की तरह

'आग़ाज़' हर एक बज़्म में हर इक ज़बान पर
है उस का तज़्किरा मिरे अशआ'र की तरह

- Aghaz Buldanvi
0 Likes

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aghaz Buldanvi

As you were reading Shayari by Aghaz Buldanvi

Similar Writers

our suggestion based on Aghaz Buldanvi

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari