bas khatron ki khaatir jaane jaate hain
jin raston se ham deewane jaate hain
itni shohrat kaafi hai jeene ke liye
un ki nazaron mein pahchaane jaate hain
himmat waale hijr mein kahte hain ghazlein
jo buzdil hain vo maykhaane jaate hain
roz bujha dete hain khud hi teeli ko
roz tiri tasveer jalane jaate hain
un ko dekh ke poori ghazal ho jaati hai
ham to bas ik sher sunaane jaate hain
बस ख़तरों की ख़ातिर जाने जाते हैं
जिन रस्तों से हम दीवाने जाते हैं
इतनी शोहरत काफ़ी है जीने के लिए
उन की नज़रों में पहचाने जाते हैं
हिम्मत वाले हिज्र में कहते हैं ग़ज़लें
जो बुज़दिल हैं वो मयख़ाने जाते हैं
रोज़ बुझा देते हैं ख़ुद ही तीली को
रोज़ तिरी तस्वीर जलाने जाते हैं
उन को देख के पूरी ग़ज़ल हो जाती है
हम तो बस इक शेर सुनाने जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Azeem
our suggestion based on Ahmad Azeem
As you were reading Irada Shayari Shayari