aakhiri ma'arka ab shahr-e-dhuaan-dhaar mein hai | आख़िरी मा'रका अब शहर-ए-धुआँ-धार में है - Ahmad Kamal Parwazi

aakhiri ma'arka ab shahr-e-dhuaan-dhaar mein hai
mere sirhaane ka patthar isee deewaar mein hai

ab humein pichhle hawala nahin dena padte
ik yahi faaeda bigde hue kirdaar mein hai

beshtar log jise umr-e-ravaan kahte hain
vo to ik shaam hai aur koocha-e-dildaar mein hai

ye bhi mumkin hai ki lahja hi salaamat na rahe
majlis-e-shahr bhi ab shehar ke bazaar mein hai

dil kahaan apni riyaasat se alag jaata hai
vo to ab bhi usi ujde hue darbaar mein hai

आख़िरी मा'रका अब शहर-ए-धुआँ-धार में है
मेरे सिरहाने का पत्थर इसी दीवार में है

अब हमें पिछले हवाला नहीं देना पड़ते
इक यही फ़ाएदा बिगड़े हुए किरदार में है

बेशतर लोग जिसे उम्र-ए-रवाँ कहते हैं
वो तो इक शाम है और कूचा-ए-दिलदार में है

ये भी मुमकिन है कि लहजा ही सलामत न रहे
मज्लिस-ए-शहर भी अब शहर के बाज़ार में है

दिल कहाँ अपनी रियासत से अलग जाता है
वो तो अब भी उसी उजड़े हुए दरबार में है

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari