amal bar-waqt hona chahiye tha | अमल बर-वक़्त होना चाहिए था - Ahmad Kamal Parwazi

amal bar-waqt hona chahiye tha
zameen nam thi to bona chahiye tha

samajhna tha mujhe baarish ka paani
tumhein kapde bhigona chahiye tha

tu jaadu hai to koi shak nahin hai
main paagal hoon to hona chahiye tha

main mujrim hoon to mujrim isliye hoon
mujhe saalim khilauna chahiye tha

agar kat-phat gaya tha mera daaman
tumhein seena pirona chahiye tha

अमल बर-वक़्त होना चाहिए था
ज़मीं नम थी तो बोना चाहिए था

समझना था मुझे बारिश का पानी
तुम्हें कपड़े भिगोना चाहिए था

तू जादू है तो कोई शक नहीं है
मैं पागल हूँ तो होना चाहिए था

मैं मुजरिम हूँ तो मुजरिम इसलिए हूँ
मुझे सालिम खिलौना चाहिए था

अगर कट-फट गया था मेरा दामन
तुम्हें सीना पिरोना चाहिए था

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari