baraae-zeb us ko gauhar-o-akhtar nahin lagta | बराए-ज़ेब उस को गौहर-ओ-अख़्तर नहीं लगता - Ahmad Kamal Parwazi

baraae-zeb us ko gauhar-o-akhtar nahin lagta
vo khud ik chaand hai aur chaand ko zewar nahin lagta

khudaaya yun bhi ho ki us ke haathon qatl ho jaaun
wahi ik aisa qaateel hai jo pesha-war nahin lagta

agar aariz-parasti ka amal ik jurm banta hai
saza bhi kaat lenge kaatne se dar nahin lagta

mohabbat teer hai aur teer baatin chhed deta hai
magar niyyat galat ho to nishaane par nahin lagta

raees-e-shahr ho kar bhi vo itna jhuk ke milta hai
ki us ke saamne koi bhi qad-aavar nahin lagta

बराए-ज़ेब उस को गौहर-ओ-अख़्तर नहीं लगता
वो ख़ुद इक चाँद है और चाँद को ज़ेवर नहीं लगता

ख़ुदाया यूँ भी हो कि उस के हाथों क़त्ल हो जाऊँ
वही इक ऐसा क़ातिल है जो पेशा-वर नहीं लगता

अगर आरिज़-परस्ती का अमल इक जुर्म बनता है
सज़ा भी काट लेंगे काटने से डर नहीं लगता

मोहब्बत तीर है और तीर बातिन छेद देता है
मगर निय्यत ग़लत हो तो निशाने पर नहीं लगता

रईस-ए-शहर हो कर भी वो इतना झुक के मिलता है
कि उस के सामने कोई भी क़द-आवर नहीं लगता

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari