is andhe qaid-khaane mein kahi rozan nahin hota | इस अंधे क़ैद-ख़ाने में कहीं रौज़न नहीं होता - Ahmad Kamal Parwazi

is andhe qaid-khaane mein kahi rozan nahin hota
bikhar jaate tabi'at mein agar bachpan nahin hota

tujhe kya ilm ke har chot pe taare nikalte hain
vo aadam hi nahin jis ka koi dushman nahin hota

unhen bhi hum ne sayyaaron se waapas aate dekha hai
jahaan bas ishq hota hai koi eendhan nahin hota

hamaari na-muraadi mein wafadari bhi shaamil hai
agar kuch aur hote to ye pairaahan nahin hota

bahut mamnoon hoon phir bhi andhere kam nahin hote
agar tum mere ghar hote to vo raushan nahin hota

इस अंधे क़ैद-ख़ाने में कहीं रौज़न नहीं होता
बिखर जाते तबीअ'त में अगर बचपन नहीं होता

तुझे क्या इल्म के हर चोट पे तारे निकलते हैं
वो आदम ही नहीं जिस का कोई दुश्मन नहीं होता

उन्हें भी हम ने सय्यारों से वापस आते देखा है
जहाँ बस इश्क़ होता है कोई ईंधन नहीं होता

हमारी ना-मुरादी में वफ़ादारी भी शामिल है
अगर कुछ और होते तो ये पैराहन नहीं होता

बहुत मम्नून हूँ फिर भी अँधेरे कम नहीं होते
अगर तुम मेरे घर होते तो वो रौशन नहीं होता

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari