phool par os ka qatra bhi galat lagta hai | फूल पर ओस का क़तरा भी ग़लत लगता है - Ahmad Kamal Parwazi

phool par os ka qatra bhi galat lagta hai
jaane kyun aap ko achha bhi galat lagta hai

mujh ko maaloom hai mehboob-parasti ka azaab
der se chaand nikalna bhi galat lagta hai

aap ki harf-adaai ka ye aalam hai ki ab
ped par shahad ka chhatta bhi galat lagta hai

ek hi teer hai tarkash mein to ujlat na karo
aise mauqe pe nishaana bhi galat lagta hai

shaakh-e-gul kaat ke trishool bana dete ho
kya gulaabon ka mahakna bhi galat lagta hai

फूल पर ओस का क़तरा भी ग़लत लगता है
जाने क्यूँ आप को अच्छा भी ग़लत लगता है

मुझ को मालूम है महबूब-परस्ती का अज़ाब
देर से चाँद निकलना भी ग़लत लगता है

आप की हर्फ़-अदाई का ये आलम है कि अब
पेड़ पर शहद का छत्ता भी ग़लत लगता है

एक ही तीर है तरकश में तो उजलत न करो
ऐसे मौक़े पे निशाना भी ग़लत लगता है

शाख़-ए-गुल काट के त्रिशूल बना देते हो
क्या गुलाबों का महकना भी ग़लत लगता है

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari