tanhaai se bachaav ki soorat nahin karoon | तन्हाई से बचाव की सूरत नहीं करूँ - Ahmad Kamal Parwazi

tanhaai se bachaav ki soorat nahin karoon
mar jaaun kya kisi se mohabbat nahin karoon

soo-e-falak havaai safar hai to kya hua
dar jaaun mahtaab ki soorat nahin karoon

aankhen hain ya sharaab ke saaghar bhare hue
pee jaaun kya khayal-e-shariat nahin karoon

qabze mein un ke shahr-e-tilismaat hi sahi
kho jaaun kya khuda ki ibadat nahin karoon

jab tay hua ki raushni parwardigaar hai
pahluu bachaaun us ki itaaat nahin karoon

bazm-e-sukhan-taraaz mein naakaam hon to kya
chillaaoon apne fan ki hifazat nahin karoon

vo aa gaya kamaal ki qeemat ke aas-paas
bik jaaun apne sach ki hifazat nahin karoon

तन्हाई से बचाव की सूरत नहीं करूँ
मर जाऊँ क्या किसी से मोहब्बत नहीं करूँ

सू-ए-फ़लक हवाई सफ़र है तो क्या हुआ
डर जाऊँ माहताब की सूरत नहीं करूँ

आँखें हैं या शराब के साग़र भरे हुए
पी जाऊँ क्या ख़याल-ए-शरीअत नहीं करूँ

क़ब्ज़े में उन के शहर-ए-तिलिस्मात ही सही
खो जाऊँ क्या ख़ुदा की इबादत नहीं करूँ

जब तय हुआ कि रौशनी पर्वरदिगार है
पहलू बचाऊँ उस की इताअत नहीं करूँ

बज़्म-ए-सुख़न-तराज़ में नाकाम हों तो क्या
चिल्लाऊँ अपने फ़न की हिफ़ाज़त नहीं करूँ

वो आ गया 'कमाल' की क़ीमत के आस-पास
बिक जाऊँ अपने सच की हिफ़ाज़त नहीं करूँ

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari