tumhaari waapsi hone ka andaaza na ho jaaye | तुम्हारी वापसी होने का अंदाज़ा न हो जाए - Ahmad Kamal Parwazi

tumhaari waapsi hone ka andaaza na ho jaaye
kahi bikhri hui mitti tar-o-taazaa na ho jaaye

farishton tum ne be awaaz andeshe nahin dekhe
yahi deewaar aage badh ke darwaaza na ho jaaye

badi khwaahish hai phir se zindagi hamvaar karne ki
magar us se kahi mismar sheeraza na ho jaaye

abhi tak to nateeja bhi pas-e-deewaar hai jaanaan
tiri is mahviyat se kal ka andaaza na ho jaaye

shabaahat pe adaakaari asr-andaaz hoti hai
abhi tak to ye chehra hai kahi ghaaza na ho jaaye

तुम्हारी वापसी होने का अंदाज़ा न हो जाए
कहीं बिखरी हुई मिट्टी तर-ओ-ताज़ा न हो जाए

फ़रिश्तों तुम ने बे आवाज़ अंदेशे नहीं देखे
यही दीवार आगे बढ़ के दरवाज़ा न हो जाए

बड़ी ख़्वाहिश है फिर से ज़िंदगी हमवार करने की
मगर उस से कहीं मिस्मार शीराज़ा न हो जाए

अभी तक तो नतीजा भी पस-ए-दीवार है जानाँ
तिरी इस महवियत से कल का अंदाज़ा न हो जाए

शबाहत पे अदाकारी असर-अंदाज़ होती है
अभी तक तो ये चेहरा है कहीं ग़ाज़ा न हो जाए

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Khwaahish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Khwaahish Shayari Shayari