ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhodi hai | ये लग रहा है रग-ए-जाँ पे ला के छोड़ी है - Ahmad Kamal Parwazi

ye lag raha hai rag-e-jaan pe la ke chhodi hai
kisi ne aag bahut paas aa ke chhodi hai

gharo ke aaine soorat ganwa ke baith gaye
hawa ne dhool bhi oopar uda ke chhodi hai

ye ab khula ki usi mein meri najaat bhi thi
jo cheez main ne bahut aazma ke chhodi hai

hawa ka jabr kahi beech mein thama hi nahin
tiri gali bhi bahut dil dukha ke chhodi hai

kamaal dekhna ye khema-e-husain hai kya
kisi ne dil mein koi shay jala ke chhodi hai

ये लग रहा है रग-ए-जाँ पे ला के छोड़ी है
किसी ने आग बहुत पास आ के छोड़ी है

घरों के आइने सूरत गँवा के बैठ गए
हवा ने धूल भी ऊपर उड़ा के छोड़ी है

ये अब खुला कि उसी में मिरी नजात भी थी
जो चीज़ मैं ने बहुत आज़मा के छोड़ी है

हवा का जब्र कहीं बीच में थमा ही नहीं
तिरी गली भी बहुत दिल दुखा के छोड़ी है

'कमाल' देखना ये ख़ेमा-ए-हुसैन है क्या
किसी ने दिल में कोई शय जला के छोड़ी है

- Ahmad Kamal Parwazi
0 Likes

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Kamal Parwazi

As you were reading Shayari by Ahmad Kamal Parwazi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Kamal Parwazi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari