bujhti aankhon se meri khwaab kahaan jaata hai | बुझती आँखों से मिरी ख़्वाब कहाँ जाता है - Ahmad Nesar

bujhti aankhon se meri khwaab kahaan jaata hai
ab mujhe le ke ye sailaab kahaan jaata hai

rooh to kab se pareshaan hai numoo ki khaatir
musht bhar khitaa-e-shaadaab kahaan jaata hai

apni hasti mein to toofaan khinche aate hain
hai jo paanv mein vo girdaab kahaan jaata hai

us ki taqdeer mein likkha hai nami mein rahna
chhod kar aab ko surkhaab kahaan jaata hai

apni tahzeeb ka hum paas bahut rakhte hain
gusse mein lahja-e-aadaab kahaan jaata hai

jaagna meri nigaahon ka muqaddar hai nisaar
aankh se jalwa-e-mahtaab kahaan jaata he

बुझती आँखों से मिरी ख़्वाब कहाँ जाता है
अब मुझे ले के ये सैलाब कहाँ जाता है

रूह तो कब से परेशाँ है नुमू की ख़ातिर
मुश्त भर ख़ित्ता-ए-शादाब कहाँ जाता है

अपनी हस्ती में तो तूफ़ान खिंचे आते हैं
है जो पाँव में वो गिर्दाब कहाँ जाता है

उस की तक़दीर में लिक्खा है नमी में रहना
छोड़ कर आब को सुरख़ाब कहाँ जाता है

अपनी तहज़ीब का हम पास बहुत रखते हैं
ग़ुस्से में लहजा-ए-आदाब कहाँ जाता है

जागना मेरी निगाहों का मुक़द्दर है 'निसार'
आँख से जल्वा-ए-महताब कहाँ जाता हे

- Ahmad Nesar
0 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nesar

As you were reading Shayari by Ahmad Nesar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nesar

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari