hui aabaad veeraani hamaari | हुई आबाद वीरानी हमारी - Ahmad Waqas

hui aabaad veeraani hamaari
koi samjhe pareshaani hamaari

azal ko waqt hi kitna hua hai
chali jaayegi hairaani hamaari

use hum se gurezaan hi na kar de
ye is darja faraavani hamaari

tumhaari khush-libaasi ke muqaabil
jo aaye chaak-damaani hamaari

ghazal ko jeene waale jaante hain
bahut mushkil hai aasaani hamaari

हुई आबाद वीरानी हमारी
कोई समझे परेशानी हमारी

अज़ल को वक़्त ही कितना हुआ है
चली जाएगी हैरानी हमारी

उसे हम से गुरेज़ाँ ही न कर दे
ये इस दर्जा फ़रावानी हमारी

तुम्हारी ख़ुश-लिबासी के मुक़ाबिल
जो आए चाक-दामानी हमारी

ग़ज़ल को जीने वाले जानते हैं
बहुत मुश्किल है आसानी हमारी

- Ahmad Waqas
0 Likes

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Waqas

As you were reading Shayari by Ahmad Waqas

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Waqas

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari